Aasmaan par aaj badal nahi
Aachal me aaj aansu nahi
roya hai dil fir mera kyun
jab gum ki koi wajah nahi
Aaj koi mahfil nahi
Aaj koi saathi nahi
tu dur jata hai kyun
jab saath hokar bhi mera apna nahi
Apna koi dushman nahi
Apna koi dost nahi
humsafar dil chahta hai kyun
jab saath dena unki fitrat nahi
Ab koi shikwa nahi
Ab koi shikayat nahi
rooth jane ko dil chahta hai kyun
jab raha koi ehsaas nahi
Rahin koi baatein nahi
Rahin koi yaadein nahi
vo yaad fir bhi aata hai kyun
jab afsana koi bhi bana nahi........................
No comments:
Post a Comment